maine lafzon mein jo nami ki hai

By shafique-saifiFebruary 29, 2024
main ne lafzon mein jo nami ki hai
ro na paya to sha'iri ki hai
mujh ko kya karti zindagi barbaad
main ne barbaad zindagi ki hai


kaisi qismat hai meri qismat ki
main ne naukar ki naukri ki hai
main ne mana nahin bura lekin
baat to aap ne buri ki hai


tum kahin aur baith lo ja kar
ye jagah to 'shafiq' ji ki hai
22683 viewsghazalEnglish