maine likhi lahu se to tahrir bol uThi

By sahabzada-meer-burhan-ali-khan-kaleemFebruary 1, 2022
main ne likhi lahu se to tahrir bol uthi
har qatl-e-be-qusur ki tafsir bol uthi
zindan mein to main mohr-ba-lab hi raha magar
jhankar ban ke panw ki zanjir bol uthi


puchha ki qatl-o-khun ye hai kis nazar ka shauq
tan kar nigah-e-waqt ki shamshir bol uthi
be-kar hai talab jo khulus-e-talab na ho
utthe dua ko hath to tasir bol uthi


aaina dekhte hue jab bhi khayal mein
main chup raha to aap ki taswir bol uthi
jage shuur-o-fikr to viran zist mein
tadbir-e-kaamyab ki taqdir bol uthi


aksar yahi hua hai ki jab arz-e-shauq mein
ujlat na ho saki hai to takhir bol uthi
wo raaz jis ko kah na saki sharm se zaban
un ke hinai hath ki tahrir bol uthi


thi subh-e-nau us aag pe gum-sum magar 'kalim'
har ek jalte khwab ki tabir bol uthi
49782 viewsghazalEnglish