main ne socha tha mujhe mismar kar sakta nahin aks to mujh par palat kar war kar sakta nahin aaina zahir to kar sakta hai khadd-o-khal ko aaina ehsas ka izhaar kar sakta nahin meri chahat aur hai mere masail aur hain khud ko main har baat par tayar kar sakta nahin khud se samjhauta kiya hai zindagi ke nam par is se badh kar zindagi ko pyar kar sakta nahin ya to apne jism ki had se nikalna chhod de saya hai to dhup se inkar kar sakta nahin kashtiyan bhi chahiye aur nakhuda bhi chahiye tu samundar tair kar to par kar sakta nahin is se behtar hai ki ye azm-e-safar hi chhod de raste ko tu agar hamwar kar sakta nahin