majbur ho gaya to faza mein bikhar gaya

By mustafa-jameelOctober 25, 2023
majbur ho gaya to faza mein bikhar gaya
mahaul aisa paya ki be-maut mar gaya
ek ajnabi ko rasta batlana shahr ka
mujh ko tamam ganw mein badnam kar gaya


zinda tha wo to koi use puchhta na tha
lekin wo jab mara to bada nam kar gaya
sach baat bhi zaban se koi bolta nahin
jaise har ek shakhs ka ehsas mar gaya


shoale se ab bhi uthte hain is khak se 'jamil'
ghar ko jale hue to zamana guzar gaya
38786 viewsghazalEnglish