majnun ne shahr chhoda to sahra bhi chhod de nazzare ki hawas ho to laila bhi chhod de waiz kamal-e-tark se milti hai yan murad duniya jo chhod di hai to uqba bhi chhod de taqlid ki rawish se to behtar hai khud-kushi rasta bhi dhund khizr ka sauda bhi chhod de manind-e-khama teri zaban par hai harf-e-ghair begana shai pe nazish-e-beja bhi chhod de lutf-e-kalam kya jo na ho dil mein dard-e-ishq bismil nahin hai tu to tadapna bhi chhod de shabnam ki tarah phulon pe ro aur chaman se chal is bagh mein qayam ka sauda bhi chhod de hai aashiqi mein rasm alag sab se baithna but-khana bhi haram bhi kalisa bhi chhod de sauda-gari nahin ye ibaadat khuda ki hai ai be-khabar jaza ki tamanna bhi chhod de achchha hai dil ke sath rahe pasban-e-aql lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhod de jina wo kya jo ho nafas-e-ghair par madar shohrat ki zindagi ka bharosa bhi chhod de shokhi si hai sawal-e-mukarrar mein ai kalim shart-e-raza ye hai ki taqaza bhi chhod de waiz subut lae jo mai ke jawaz mein 'iqbaal' ko ye zid hai ki pina bhi chhod de