majruh-e-arzu kabhi mera jigar na ho
By bedil-azimabadiSeptember 3, 2022
majruh-e-arzu kabhi mera jigar na ho
minnat-shanas tir-e-nazar dil agar na ho
mumkin hai ye ki zabt karun aankh tar na ho
dar hai kahin tarawish-e-lakht-e-jigar na ho
tikhi nigah se dekh len khanjar agar na ho
mumkin nahin ki tir-e-nazar kargar na ho
daman ko kyon bachae hue ja rahe hain wo
pamal gham ki khak sar-e-rahguzar na ho
anjaan tum bane raho ye aur baat hai
aisa to kya hai tum ko hamari khabar na ho
bimar-e-gham hai soz-e-alam ka phunka hua
har qatra ashk-e-surkh ka dar hai sharar na ho
hain sarfarosh lazzat-e-rahat se aashna
sardar kaun hai wo jise dard-e-sar na ho
aisa nishana chahiye nawak-fagan mere
dil par lage jo tir jigar ko khabar na ho
sarmaya-dar-e-aib-e-wafa hun azal se main
kuchh gham nahin mujhe jo mata-e-hunar na ho
'bedil' ke dil se zulf ka jata nahin khayal
ye khana-e-khuda kisi kafir ka ghar na ho

52391 viewsghazal • English