makan chehre dukan chehre
By farhan-hanif-warsiOctober 29, 2020
makan chehre dukan chehre
hamari basti ki jaan chehre
ujad naslon ke nauhagar hain
khizan-rasida jawan chehre
dhuan dhuan manzaron ka hissa
khayal khushbu guman chehre
riwayaton ke nuqush jin par
wo khandaron se makan chehre
koi tassur ho zindagi ka
karen khushi gham bayan chehre
koi nahin hai kisi se waqif
nagar mein sab be-nishan chehre
'hanif' qadren badal chuki hain
na dhund wo darmiyan chehre
hamari basti ki jaan chehre
ujad naslon ke nauhagar hain
khizan-rasida jawan chehre
dhuan dhuan manzaron ka hissa
khayal khushbu guman chehre
riwayaton ke nuqush jin par
wo khandaron se makan chehre
koi tassur ho zindagi ka
karen khushi gham bayan chehre
koi nahin hai kisi se waqif
nagar mein sab be-nishan chehre
'hanif' qadren badal chuki hain
na dhund wo darmiyan chehre
48310 viewsghazal • English