makin aur bhi hain makan aur bhi hain yahi do-jahan kya jahan aur bhi hain maqamat-e-dair-o-haram se guzar kar teri azmaton ke nishan aur bhi hain kiye jaiye sai-e-taskhir-e-fitrat abhi raaz-ha-e-nihan aur bhi hain zara khatm ho kar tauq-o-salasil zaban par liye dastan aur bhi hain mita do mera naqsh-e-hasti nahin gham meri zindagi ke nishan aur bhi hain samet apna daman na aaghosh-e-manzil ki rahraw pas-e-karwan aur bhi hain nahin sirf zahid hi jalwon ka mahram tere husn ke raazdan aur bhi hain