mal-e-duniya talash karna hai

By anis-abrOctober 25, 2020
mal-e-duniya talash karna hai
yani rutba talash karna hai
aaj insan ko tapte sahra mein
bahta dariya talash karna hai


to kunwari hai kab se ai duniya
tera rishta talash karna hai
ab charaghon ki lau nahin manzur
yad-e-baiza talash karna hai


dushmani pyar se bhi kuchh achchha
darmiyana talash karna hai
kar chuke sair hum samundar ki
ab kinara talash karna hai


mujh ko phir se kitab-e-mazi mein
tera chehra talash karna hai
'abr' duniya ko chhod jaane ka
ek bahana talash karna hai


67770 viewsghazalEnglish