malal zard-qabai ko dho raha hoga ragon ka surkh kahin sabz ho raha hoga wo jis ke dam se gulabi thi khwab-gah meri na jaane kis ke dhundlakon se so raha hoga mere safed kisi ka ruju man bhi le ki ab nahin wo siyah raaz go raha hoga wo kesari jo meri odhni pe khul na saka ab apna bich kahin aur bo raha hoga jo surmai mein khila ja raha hai sham dhale kahin to apna sunahra samo raha hoga male-dale se pade hain jo nilgun lamhe inhi ka zoam samawat ko raha hoga pada hai rang se aari bunat se udhda hua guzishta nuqrai jhilmil ko ro raha hoga faza yunhi to nahin malgaji hui jati koi to khak-nashin hosh kho raha hoga qatil-e-rang na hoga wo sair-chashm kabhi wafa ki dudhiya banhon mein jo raha hoga