mali ko sazishon pe yun uksa diya gaya

By faizul-amin-faizOctober 29, 2020
mali ko sazishon pe yun uksa diya gaya
kaliyan banen na phul ye samjha diya gaya
sach bolne ki jis ne jasarat ki dosto
phansi pe ek din use latka diya gaya


manzil mere nasib mein likh di gai magar
pur-pech rasta mujhe dikhla diya gaya
khud ko samajh rahe hain wahi log hoshiyar
jin ko khirad ki rah se bhatka diya gaya


phir mai-kade mein tut gai tauba shaikh ki
jab muft mein sharab ka pyala diya gaya
bapu ne jo diya tha sabaq yaad hai hamein
phir zahr kyon samaj mein phaila diya gaya


mahngai 'faiz' chhune lagi hai ab aasman
dilli ke takht par kise baitha diya gaya
92027 viewsghazalEnglish