man ja ain shin qaf na kar

By mahwar-sirsiviJanuary 3, 2024
man ja 'ain shin qaf na kar
roega 'ain shin qaf na kar
kaun phir mai-kada sanbhaalega
saqiya 'ain shin qaf na kar


kashti-e-zist dub jaegi
nakhuda 'ain shin qaf na kar
dil lagane se kuchh nahin hota
dil laga 'ain shin qaf na kar


sab ko deta hai ek diwana
mashwara 'ain shin qaf na kar
ye zamana wafa nahin karta
ham-nawa 'ain shin qaf na kar


hai abhi daur-e-kam-sini pyare
muskura 'ain shin qaf na kar
laj rakh apni khub surat ki
apsara 'ain shin qaf na kar


ek kafi hai zindagi-bhar ko
dusra 'ain shin qaf na kar
phir se farmaen hazrat-e-'mahwar'
kya kaha 'ain shin qaf na kar


98930 viewsghazalEnglish