man lo sahibo kaha mera kyun ki ibrat hai naqsh-e-pa mera hai tamanna mein ghaarat o ruswa sher mera, kitabcha mera ai pari-zad tere jaane par ho gaya khud se rabta mera jangalon se mujhe ye nisbat hai in mein rahta tha aashna mera aam sa aadmi hun main sahib sher hota hai aam sa mera