maniye baat meri saz badalte rahiye

maniye baat meri saz badalte rahiye
kabhi lahja kabhi aawaz badalte rahiye

ek hi taur jo apnaya to phans jaenge
jaise haalat hon andaz badalte rahiye

shikwa-e-shumi-e-taqdir to nadani hai
aap tadbir se parwaz badalte rahiye

hai munasib yahi is duniya mein jine ke liye
dam ghute jis se wo dam-saz badalte rahiye

aa gae aap sanam-khane mein to yaad rahe
apne sajdon ke bhi andaz badalte rahiye

chahte hain ki ho izzat ka tahaffuz har dam
dost badle hain to phir raaz badalte rahiye

asr-e-hazir ka taqaza to yahi hai 'monis'
raaz ki baat hai ham-raaz badalte rahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close