mansab se mohabbat ki subuk-dosh hua main

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
mansab se mohabbat ki subuk-dosh hua main
aawaz lagate raho khamosh hua main
is bar wo sho'la nae andaz se bhadka
ek aan mein sau-bar siyah-posh hua main


iman ka fuqdan to pahle ki tarah tha
ek na'ra-e-takbir se pur-josh hua main
kuchh naqs tha tauba mein usi ki to hua ye
yaad aa gaya yak-lakht faramosh hua main


is bar tere jism ki khushbu hi alag thi
patthar hua jata tha ham-aghosh hua main
israr tha ai’lan-e-mohabbat pe sabhi ko
is darja badha shor giran-gosh hua main


52667 viewsghazalEnglish