manus fitratan hain gham-e-ashiqi se hum phir kyun na tere naz uthaen khushi se hum jab se yaqin hua hai wahi karsaz hain ab apna haal kahte nahin har kisi se hum khamosh zindagi bhi dalil-e-bahaar hai ye dars le rahe hain chaman mein kali se hum ye aur baat hai ki hamein kuchh gila bhi hai munkir nahin magar teri dariya-dili se hum dil-soz-o-dil-kharash hai ye jada-e-hayat lekin guzar rahe hain badi sadgi se hum ye fikr ye khayal 'aziz' aap ka na ho kuchh sher sun rahe the abhi 'warsi' se hum