manzar-e-shahr hai KHun-bar zara der se aa

By v.-sudhakar-raoFebruary 8, 2022
manzar-e-shahr hai khun-bar zara der se aa
ro rahe hain dar-o-diwar zara der se aa
tez hai waqt ki raftar khuda khair kare
lamha lamha hai giran-bar zara der se aa


main tere khwab ka hasil hun to mayus na ho
raat bhar rahta hun bedar zara der se aa
shahr-e-ikhlas mein ek aag lagi hai har su
kuchh qayamat ke hain aasar zara der se aa


jab manazir na hon ghamgin na chehre hon udas
tab manaunga main tyauhaar zara der se aa
lash rakkhi hai abhi mashq-e-sitam karne ko
der se aa ai aza-dar zara der se aa


88803 viewsghazalEnglish