manzaron ki bhiD thi koi pas-e-manzar na tha

manzaron ki bhid thi koi pas-e-manzar na tha
karwan-e-waqt pahle aisa be-mehwar na tha

ek sada-e-be-sada ki gunj thi chaaron taraf
sirf sae rengte the koi bhi paikar na tha

kaun de ilzam kis par raushni ke qatl ka
badhne wali zulmaton ke hath mein khanjar na tha

thi hawaon ki wo sazish ya taqaza waqt ka
barhana the ped sare koi barg-e-tar na tha

apni fitrat hi azal se surat-e-simab thi
main rawan tha misl-e-dariya ghat ka patthar na tha

barish-e-sang-e-malamat yun to har jaanib se thi
sar-buland apni ana thi mujh ko fikr-e-sar na tha

tai hua kuchh is tarah sahra-e-hasti ka safar
jaise apne sar pe 'jauhar' gumbad-e-be-dar na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close