manzil dhuan-dhuan hai Dagar ghair-motabar
By manohar-lal--hadiSeptember 24, 2023
manzil dhuan-dhuan hai dagar ghair-mo'tabar
shayad hai zindagi ka safar ghair-mo'tabar
lamhon ki fauj ka karo dat kar muqabla
hota hai be-dili ka mafar ghair-mo'tabar
saudagar-e-zamir na kar ruh ka ziyan
hai tera jam-e-sud-o-zarar ghair-mo'tabar
yun to yugon talak koi manzil na paoge
chhanti hai tum ne rahguzar ghair-mo'tabar
wo bhi bhatak raha hai use bhi mili na rah
dil ghair-mo'tabar hai nazar ghair-mo'tabar
pahunche wahan to sirf andhere khade mile
nikla dayar-e-'ilm-o-khabar ghair-mo'tabar
samjhe koi ye raaz to hadi bataun bhi
hai raat be-sabaat sahar ghair-mo'tabar

53672 viewsghazal • English