manzil-e-hayat se be-khatar guzar gaya aap jalwa-rez the main jidhar jidhar gaya hadsat-e-dahr se mast-o-be-khabar gaya justuju-e-shauq mein dil nikhar nikhar gaya jurat-e-rawani-e-rahbar na puchhiye manzilon ko chhodta karwan guzar gaya jag utha to zindagi so gaya to maut hai itna jaan le to phir aadmi sanwar gaya rahnuma ke bhes mein rahzan hain aaj-kal e'timad-e-rahbar dil se ab utar gaya tum mile to mit gain kulfaten firaq ki fikr-e-ah-e-shab gai nala-e-sahar gaya ham-nawao dosto fikr aaj ki karo kal ka tazkira hi kya jo hua guzar gaya 'dard' us nigah par jaan bhi nisar hai jis ke iltifat par dil gaya jigar gaya