manzil pe le ke pahunchega azm-e-jawan mujhe kah do na sath le ke chale karwan mujhe sunta hun phir chaman mein hui khema-zan bahaar aae na kyun qafas mein bhi yaad aashiyan mujhe khoya hua hun un ke tasawwur mein is tarah jaise sunae un ki koi dastan mujhe ye jab bhi aai lai nawed-e-bahaar bhi phir kyun bahaar se na ho pyari khizan mujhe main ho gaya hun kab se nasheman se be-niyaz kah de koi darae na barq-e-tapan mujhe ek waqt tha chaman ke liye mar mite the hum rahne usi chaman mein na de baghban mujhe