manzilen dur hain aur aabla-pai apni
By samar-khanabadoshFebruary 28, 2024
manzilen dur hain aur aabla-pai apni
kaise mumkin ho tere shahr rasai apni
main tera nam qabile mein jo leta hun kabhi
har koi jhadne lagta hai khudai apni
ek wo tha ki wo jirge mein bhi khamosh na tha
ek hum the ki na de pae safai apni
ab to ye haq bhi nahin hai use chaha jae
ab to ye zist bhi lagti hai parai apni
'ishq kahte hain jise hai dar-e-yazdan ka charagh
aur isi 'ishq mein duniya hai samai apni
mil gai hijr ki saughat hamein bhi aakhir
jaane ab kaise kategi mere bhai apni
ye mohabbat hai mohabbat hai mohabbat jo 'samar'
'umr-bhar ki hai yahi nek kamai apni

92353 viewsghazal • English