manzilon ke baad dil us raaz ka mahram hua

By mani-nagpuriNovember 4, 2020
manzilon ke baad dil us raaz ka mahram hua
dar-haqiqat wo khushi thi nam jis ka gham hua
pesh-e-aina sanwarne mein badal kar zawiye
tum ne jis aalam ko dekha ek alag aalam hua


un ke gesu hain zamane par mukammal tabsira
barha aarasta ho kar jahan barham hua
jazba-e-hamdardi-e-ulfat tera mashkur hun
jab kisi ki aankh bhigi mera daman nam hua


chashm-e-saqi se gira jata hai zarf-e-mai-kashan
tod den saghar jinhen ehsas-e-besh-o-kam hua
kitne khake the hayat-e-kaamran ke zehn mein
dil to is aalam mein bhi masrur tha jab gham hua


shor-e-tahsin-e-sukhan ki rau bahane aai thi
zeb-e-lab 'mani' ke man aanam ki man danam hua
75426 viewsghazalEnglish