maqam-e-dil bahut uncha bana hai kamand-e-aql ab tak na-rasa hai farogh-e-ishq se betab jalwe harim-e-naz mein mahshar bapa hai mizaj-e-husn mein ye dard-mandi ba-faiz-e-ishq kya se kya hua hai khirad hai justuju-e-soz-e-atish mohabbat aarzu-e-barmala hai nawazish un ki muhtaj-e-mohabbat meri kam-maegi ka aasra hai chaman ki nikhat-afshani ka bais ye mauj-e-gul hai ya mauj-e-saba hai bhala kyun ho tujhe meri zarurat ki tu sare zamane ka khuda hai