maqtal ka mere ghar se bahut fasla nahin

By mohammad-wasiq-nadeemMay 24, 2021
maqtal ka mere ghar se bahut fasla nahin
hun mutmain ki sach se koi wasta nahin
ek waqt wo ki dekhe bina chain hi na tha
ek waqt ye ki us se koi rabta nahin


hai satyamewa jayate ki takhti lagi hui
sachchai ye ki sach ka wahan dakhila nahin
mazi ki baat chhod de rakh haal par nazar
ab wo khalil khan bhi nahin fakhta nahin


us ne kaha qubul hai sauda zamir ka
nikla meri zaban se be-sakhta nahin
jitni siyasi log karen bewafaiyan
is darja bewafa to koi dashta nahin


'wasiq' miyan mizaj ki shokhi kahan gai
kah to rahe the gham se koi wasta nahin
69156 viewsghazalEnglish