marhale jis mein bahut hashr-nishan guzre hain us rah-e-shauq se hum raqs-kunan guzre hain jin maqamat-e-junun se tha guzarna mushkil hum unhi se sifat-e-sail-e-rawan guzre hain ye damakte hue zarraat pata dete hain is taraf se wo kabhi nur-fishan guzre hain jo bhi guzre hain teri yaad se ghafil rah kar zindagi mein wahi lamhat garan guzre hain tishnagi zauq-e-nazara ki wahi hai ki jo thi yun nazar se kai rangin saman guzre hain 'mansha' apna hi jigar hai ki rah-e-zist se yun be-hijabana ba-sad azm-e-jawan guzre hain