mariz-e-gham ke sahaaro koi to baat karo udas chand sitaro koi to baat karo kahan hai dub chuka ab to dubne wala shikasta-dil se kinaro koi to baat karo mere nasib ko barbaadiyon se nisbat hai luti hui si bahaaro koi to baat karo kahan gaya wo tumhaara bulandiyon ka junun bujhe bujhe se shararo koi to baat karo isi tarah se ajab kya jo kuchh sukun mile gham-e-firaq ke maro koi to baat karo tumhaara gham bhi mitati hain mastiyan ki nahin sharab-e-nab ke maro koi to baat karo tumhaari khak udata nahin 'shakeb' to kya udas rah-guzaro koi to baat karo