mariz-e-mohabbat unhin ka fasana sunata raha dam nikalte nikalte

By qamar-jalalviFebruary 28, 2024
mariz-e-mohabbat unhin ka fasana sunata raha dam nikalte nikalte
magar zikr sham-e-alam ka jab aaya charagh-e-sahar bujh gaya jalte jalte
unhen khat mein likkha tha dil muztarib hai jawab un ka aaya mohabbat na karte
tumhein dil lagane ko kis ne kaha tha bahal jaega dil bahalte bahalte


mujhe apne dil ki to parwa nahin hai magar dar raha hun ki bachpan ki zid hai
kahin pa-e-nazuk mein moch aa na jae dil-e-sakht-jaan ko masalte masalte
bhala koi wa'da-khilafi ki had hai hisab apne dil mein laga kar to socho
qayamat ka din aa gaya rafta rafta mulaqat ka din badalte badalte


irada tha tark-e-mohabbat ka lekin fareb-e-tabassum mein phir aa gae hum
abhi kha ke thokar sanbhalne na pae ki phir khai thokar sanbhalte sanbhalte
bas ab sabr kar rahraw-e-rah-e-ulfat ki tere muqaddar mein manzil nahin hai
udhar samne sar pe sham aa rahi hai idhar thak gae panw bhi chalte chalte


wo mehman mere hue bhi to kab tak hui sham' gul aur na dube sitare
'qamar' is qadar un ko jaldi thi ghar ki ki ghar chal diye chandni dhalte dhalte
86520 viewsghazalEnglish