masail ye bhi hal kar dekhta hun

By raaz-dehalviFebruary 23, 2021
masail ye bhi hal kar dekhta hun
kabhi khud se nikal kar dekhta hun
mere dil tak koi aata nahin kyon
chalo chehra badal kar dekhta hun


kabhi gar khwab mein dekhun tujhe main
to bistar se uchhal kar dekhta hun
suna ek aag si tujh mein hai to phir
kiya ye tai ki jal kar dekhta hun


tumhaare sath kab tak chal sakunga
chalo kuchh der chal kar dekhta hun
56852 viewsghazalEnglish