masale aur bhi hain ishq ke aazar ke sath

By aamir-shauqiOctober 6, 2022
masale aur bhi hain ishq ke aazar ke sath
sirf ek karb nahin umr ki raftar ke sath
hae mahrumi-e-qismat ki tujhe pa na sake
hum har ek samt gae hasrat-e-didar ke sath


kaise main aap ki tazim baja launga
meri banti hi nahin hashiya-bardar ke sath
abhi khush-rang hai tabani mere aangan ki
ranjishen hone lagin kyon dar-o-diwar ke sath


dars dete hain bahut log payambar wale
baithta koi nahin muflis-o-nadar ke sath
us ke hisse ka bhi gham mujh ko ata kar de magar
an-ginat khushiyan rahin maula mere yar ke sath


guftugu ka bhi saliqa nahin jin ko 'shauqi'
aaj phirte hain wahi mansab-o-dastar ke sath
35558 viewsghazalEnglish