masale hal nahin hue mere

By bilal-sabirMarch 1, 2024
masale hal nahin hue mere
tum mukammal nahin hue mere
jin palon ke liye wo mera tha
bas wahi pal nahin hue mere


kya karunga main kal bhi duniya mein
tum agar kal nahin hue mere
mere 'aqil to ghair the lekin
mere pagal nahin hue mere


chand aankhen meri huin lekin
un ke kajal nahin hue mere
anginat bagh mere hain phir bhi
phul aur phal nahin hue mere


roz-e-awwal bhi wo badan chhu kar
hath kyon shal nahin hue mere
lafz chandan ke jaise bhi rakh kar
she'r sandal nahin hue mere


tu bata tere yar tere hain
thik hai chal nahin hue mere
25378 viewsghazalEnglish