masarrat ko masarrat gham ko jo bas gham samajhte hain wo nadan zindagi ka raaz aksar kam samajhte hain haqiqat mein wahi raaz-e-haqiqat se hain na-waqif jinhen dawa hai ye raaz-e-haqiqat hum samajhte hain nahin hajat hamein ai chaarasazo chaara-sazi ki hum apne dard hi ko dard ka marham samajhte hain hamari sada-lauhi us se badh kar aur kya hogi ki hum na-ashna ko aashna-e-gham samajhte hain ye kaisa raaz hai un ke hamare darmiyan yarab na jis ko wo samajhte hain na jis ko hum samajhte hain main un ke ranj ke qurban main un ke dard ke sadqe jo har insan ke gham ko khud apna gham samajhte hain samajhte hain 'jalis' ab aap to aalam ko begana magar hum aap ko be-gana-e-alam samajhte hain