masarraton ko ye ahl-e-hawas na kho dete jo har khushi mein tere gham ko bhi samo dete kahan wo shab ki tere gesuon ke sae mein khayal-e-subh se hum aastin bhigo dete bahane aur bhi hote jo zindagi ke liye hum ek bar teri aarzu bhi kho dete bacha liya mujhe tufan ki mauj ne warna kinare wale safina mera dubo dete jo dekhte meri nazron pe bandishon ke sitam to ye nazare meri bebasi pe ro dete kabhi to yun bhi umandte sarishk-e-gham 'majruh' ki mere zakhm-e-tamanna ke dagh dho dete