mashwara kis ne diya tha ki masihai kar zakhm khane hain to logon se shanasai kar jeb khali hai to kya dil se duaen denge hum se durweshon ki nadan pazirai kar phir nazar aaegi aasan ye duniya tujh ko aankh se dekh magar dil ko tamashai kar ghar mein mumkin hai magar dil mein na diwar utha faisla soch-samajh kar ye mere bhai kar dudh ka dudh bhi aur pani ka pani hoga ru-ba-ru baith ke baaten kabhi harjai kar kaun deta hai yahan dad-e-sukhan ab 'faruq' kyun jalata hai lahu qafiya-paimai kar