masjud mera rah-numa kyun nahin hua tera khuda bhi mera khuda kyun nahin hua mujh ko zamir tokta rahta hai har ghadi logon ka dil bhi shisha-numa kyun nahin hua main be-dimagh dost banata raha sada mujh par asar khushunaton ka kyun nahin hua zahir-parast log mere aas-pas hain main bhi unhin ke jaisa bhala kyun nahin hua marte hain sab talash-e-hayat-e-dawam mein tera sahifa aab-e-baqa kyun nahin hua basti ke sare log jise pujte rahe mere liye wo fard khuda kyun nahin hua phirta raha gali gali teri talash mein malum tere ghar ka pata kyun nahin hua