masKH alfaz ko jaise ho maani darkar

By ahmad-ayazFebruary 24, 2025
maskh alfaz ko jaise ho ma'ani darkar
meri rudad ko hai ek kahani darkar
mujh mein main hun ya koi aur hai shamil mujh mein
ab meri zat ko hai koi nishani darkar


koi parchhai hatae ki girani hai bahut
jism-e-khasta ko hai ab naql-e-makani darkar
kya 'ajab hai ki samundar hai jahan aab-e-hayat
tishna-lab ko hai usi pani mein pani darkar


kuchh ziyaada hi qarin hai wo chhuri shah-rag se
aur rag rag mein lahu ko hai rawani darkar
is se pahle ki koi khwab dhuan ho jae
chashm-e-tar ko hai mere ashk-fishani darkar


17828 viewsghazalEnglish