maslahat ke sath the chaalak hona hi paDa

By wasim-nadirJanuary 5, 2024
maslahat ke sath the chaalak hona hi pada
chand pal ko hi sahi saffak hona hi pada
dhul se mahfuz rakhna tha mujhe tera badan
is liye mujh ko teri poshak hona hi pada


justuju khoe hue ko dhund kar lane ki thi
yun hua ek roz mujh ko khak hona hi pada
ghar ki mitti khub-surat shakl mein dikhne lage
bas isi khwahish mein mujh ko chaak hona hi pada


barishon mein chhod kar aane pade nanhe gulab
zindagi tere liye saffak hona hi pada
98985 viewsghazalEnglish