maslak-e-ishq bayan kya kije

By mumtaz-mirzaNovember 9, 2020
maslak-e-ishq bayan kya kije
kufr iman hua jata hai
mujh se le le koi yaaden meri
ji pareshan hua jata hai


baghbaon ko khabar hai ki nahin
bagh viran hua jata hai
wahshat-e-dil ke tasadduq 'mumtaz'
ghar bayaban hua jata hai


28337 viewsghazalEnglish