mauj-e-bala mein roz koi Dubta rahe

By iqbal-kaifiOctober 31, 2020
mauj-e-bala mein roz koi dubta rahe
sahil har ek bar magar dekhta rahe
yaron ki kashtiyan rahin sahil se be-niyaz
tufan se be-niyaz agar nakhuda rahe


khairaat mein kabhi nahin mangin mohabbaten
har-chand mere dost mujhe aazma rahe
jin ko nahin thi daulat-e-ehsas tak nasib
takrim-e-be-nazar mein wahi dewta rahe


main aise husn-e-zan ko khuda manta nahin
aahon ke ehtijaj se jo mawara rahe
mana ki har tarah hai taghayyur se be-niyaz
lekin wo haal-e-gham se to kuchh aashna rahe


'kaifi' zamir-bakhta logon se kab talak
khairaat-e-ehtiram koi mangta rahe
79800 viewsghazalEnglish