mauj-e-dariya ki tarah raqs-kunan rahte hain hum se mat puchhiye kis waqt kahan rahte hain dil ki betabiyan mashuq naya chahti hain us taraf chal ki jahan mah-rukhan rahte hain sar-bulandi hai muqaddar se amal se hasil han taaqub mein to kotah-qadan rahte hain kash ho jae kabhi hum se koi kar durust zindagi mein to bahut kar-e-ziyan rahte hain hum ko patthar na samjhiye ki hain moti hum log sab se chhup-chhup ke tah-e-ab-e-rawan rahte hain jhuriyan jild pe aane se buzurgi kaisi hum to andar ki hararat se jawan rahte hain