mauj-e-dariya ko piyen kya gham-e-khamyaza karen rag-e-afshurda-e-sahra mein lahu taza karen dil ke mahbas mein karen zat ka matam kab tak aao bahar to chalen waqt ka andaza karen khun hai ek daulat-e-dil lut hi len ahl-e-falak chehra-e-dagh-e-qamar par to naya ghaza karen ungliyan sard hain phunken to unhen hosh mein laen apne sinon pe likhen harf-e-wafa taza karen shisha tha ek gham-e-dil tut ke sahil pe gira muntashir ret ke har zarre ka shiraaza karen gurg-e-ehsas se bachne ki to koi nahin rah sag-e-takhil pe band aankh ka darwaza karen