mauj-e-dariya pe chha raha hai ye kaun sej par rasmasa raha hai ye kaun subh panghat pe ho rahi hai tulua rukh se kakul hata raha hai ye kaun adh-khuli ankhdiyon ko mal mal kar ju-e-pul mein naha raha hai ye kaun bojhal anfas ke talatum se be-sada jhanjhana raha hai ye kaun aanch goya hawa mein zer-o-zabar nind mein sansana raha hai ye kaun sath-e-dariya pe chandni jaise chaunk kar muskura raha hai ye kaun karwaton ke girae takiyon ko kasmasa kar utha raha hai ye kaun ru-e-na-shusta ke dhundalke mein ras ki bunden gira raha hai ye kaun ek angdai se do-alam ko ragni mein jhula raha hai ye kaun nind ki rau mein shama ke manind subh ko jhilmila raha hai ye kaun sharm se champai kalai mein sabz chaudi ghuma raha hai ye kaun dair-e-subh-e-bahaar ki zanjir rang-e-rukh se hila raha hai ye kaun ankhdiyan jald jald jhapka kar surkh dore baja raha hai ye kaun kardgara mere dar-e-dil ko subh-dam khatkhata raha hai ye kaun tegh doshizgi ke pani se aag dil mein laga raha hai ye kaun tah-ba-tah kar ke bich ki ungli band mutthi baja raha hai ye kaun zer-e-dandan daba ke surkh angusht umr apni bata raha hai ye kaun jo bahut dur ja chuka tha use pas apne bula raha hai ye kaun ahd-e-sheb-o-shabab ke mabain faslon ko hata raha hai ye kaun gul pada hai jo ek muddat se us diye ko jala raha hai ye kaun so chuki hai jo ek zamane se is khalish ko jaga raha hai ye kaun meri sehat se bad-maza ho kar rog dil ko laga raha hai ye kaun ek muddat se jo mufakkir hai us ko mutrib bana raha hai ye kaun mujh se maghrur-o-bad-dimagh ka sar apne dar par jhuka raha hai ye kaun kori aankhon ke taza ashkon se ek naya gul khila raha hai ye kaun soz-e-pinhan mein dhaal kar mukhda saz mere hila raha hai ye kaun aql ke qasr-e-be-niyazi par naz ke ghan chala raha hai ye kaun meri danish-wari ke lohe ko tab-e-rukh se gala raha hai ye kaun mujh mein ek guna be-rukhi pa kar khud-kushi se dara raha hai ye kaun 'josh' mere khandar ko az-sar-e-nau rajdhani bana raha hai ye kaun