mauj ke sath tha kinara bhi

By m-i-zaahirSeptember 23, 2023
mauj ke sath tha kinara bhi
khub tha aankh mein nazara bhi
raat ke sath chand tare the
khwab mein khub tha sahaara bhi


mud ke dekha to hum ko yaad aaya
aap sa shakhs tha hamara bhi
kis ke rone se sath rote hain
chand bhi phul bhi sitara bhi


19425 viewsghazalEnglish