maujon mein talatum hai sahil pe bhi tufan hai ab apne safine ka allah nigahban hai har chand muhit-e-dil tariki-e-hijran hai shoala teri yaadon ka sine mein farozan hai dekha hi nahin tum ne kya rang-e-bahaaran hai surkhi hai jo phulon par wo khun-e-shahidan hai takhrib ke parde mein tamir bhi pinhan hai tarik fazaon mein ek shama farozan hai kya gham jo andhera hai duniya ki fazaon mein jo dagh-e-tamanna hai khurshid-e-darakhshan hai khulte nahin lab mere ehsas-e-hamiyyat se marta hun ki haal-e-dil chehre se numayan hai khwabon ke darichon se jhanka hai bahaaron ne ab daman-e-sahra bhi daman-e-gulistan hai mumkin hai saba khushbu sahra mein uda lae har-chand ghataon ka rukh su-e-gulistan hai kya khauf tujhe aakhir ai rah-raw-e-hasti kahte hain ajal jis ko hasti ki nigahban hai chhaegi khushi ek din gham-khana-e-hasti par gham to meri duniya mein kuchh der ka mehman hai ab aap ki marzi hai jo chahen hamein samjhen dil aap ka shaida hai dil aap pe nazan hai taswir teri ab tak phirti hai nigahon mein har yaad teri ab tak nazdik-e-rag-e-jaan hai uth kar tere kuche se ab jae kahan 'azmat' duniya bhi bayaban hai uqba bhi bayaban hai