maujon ne us ki mujh ko kahin ka nahin rakha dariya-e-ishq ne to kinara nahin rakha rukhsat kiya gaya use us ki hi shart par main ne tamam umr ka jhagda nahin rakha apne sabhi aziz bichhadte chale gae lekin udas main ne bhi chehra nahin rakha masjid nazar na aae kisi ko bhi dur se apne makan ko itna bhi uncha nahin rakha aai tumhaari yaad to kya kuchh nahin kiya dil ko kisi bhi haal mein tanha nahin rakha khak-e-watan ko khun se hum sinchte rahe aansu bhi kar ke aankh mein yakja nahin rakha us ka bhi wapsi ka irada na tha koi main ne bhi laut aane ka rasta nahin rakha