mausam-e-sang-o-rang se rabt-e-sharar kis ko tha lahza-ba-lahza jal gai dard-e-bahaar kis ko tha sarhad-e-asman ke pas jal bichhe the har taraf kis ne kiya hamein asir shauq-e-shikar kis ko tha shams o nujum be-karan haft-falak nabard-gah raushniyon ki daud mein pa-e-farar kis ko tha chashm-e-shafaq thi khun-nashin chehra-e-shab tha tegh-e-tez khwab pade the tar tar sabr-o-qarar kis ko tha aaj se pahle hum sabhi samjhe the us ko barg-e-gul tajraba-e-jalalat-e-ru-e-nigar kis ko tha saya-e-har-shajar mein tha rengte lamhon ka hujum kham khayal-e-gardish-e-lail-o-nahaar kis ko tha saya-e-ablaq-e-shajar ghat mein chashm-e-nim-wa panw jahan the jam gae hosh-e-farar kis ko tha