mausam-e-waqt badalna hai badal jaega
By aalam-nizamiJanuary 18, 2024
mausam-e-waqt badalna hai badal jaega
azhdaha raat ka suraj ko nigal jaega
shisha-e-dil ki safai pe tawajjoh dije
mausam-e-waqt bahar-haal badal jaega
bas wahi dosto is daur ka musa hoga
rah pani mein bana kar jo nikal jaega
sath jo man ki du'aen hain to insha-allah
hadisa rah mein aaega to tal jaega
kya khabar thi ki zara chain ke din aate hi
mere hamsae ka lahja hi badal jaega
log aa jaenge mitti ke hawale kar ke
tere hamrah faqat tera 'amal jaega
aanch isar ke sho'lon ki dikhao 'alam'
sakht patthar bhi jo hoga to pighal jaega
azhdaha raat ka suraj ko nigal jaega
shisha-e-dil ki safai pe tawajjoh dije
mausam-e-waqt bahar-haal badal jaega
bas wahi dosto is daur ka musa hoga
rah pani mein bana kar jo nikal jaega
sath jo man ki du'aen hain to insha-allah
hadisa rah mein aaega to tal jaega
kya khabar thi ki zara chain ke din aate hi
mere hamsae ka lahja hi badal jaega
log aa jaenge mitti ke hawale kar ke
tere hamrah faqat tera 'amal jaega
aanch isar ke sho'lon ki dikhao 'alam'
sakht patthar bhi jo hoga to pighal jaega
59204 viewsghazal • English