maut aati hai gham aata hai azab aata hai

By aashiq-husain-bazm-afandiApril 6, 2023
maut aati hai gham aata hai azab aata hai
sath in aafaton ko le ke shabab aata hai
aafaten aaengi ho jaega mahshar barpa
shokhiyan sath liye un ka shabab aata hai


ek hi bar jawani ho qayamat aa jae
naz karta hua kyon un ka shabab aata hai
us ke aane ki na jaane ki khabar hoti hai
jata bhi waise hi hai jaise shabab aata hai


yun teri tarah qayamat nahin dhata koi
sab hi par aalam-e-hasti mein shabab aata hai
shoala-ruyon ki mohabbat mein phunka jata hun
dil jalane ke liye ahd-e-shabab aata hai


har ada ban ke qaza jaan liye leti hai
un ka athkheliyan karta jo shabab aata hai
pesh-khema hai jawani ka kisi ki mahram
joban uth uth ke ye kahta hai shabab aata hai


chhine jaenge jigar lut dilon ki hogi
lashkar-e-naz liye un ka shabab aata hai
tum pe marte to hain aur is se siwa kya hoga
kyon daraate ho ye kah kah ke shabab aata hai


khak ho mujh ko khushi un ke jawan hone ki
meri hasti ke mitane ko shabab aata hai
dekhiye hoti hai ab kaun si aafat barpa
jis ka bachpan hai ghazab us pe shabab aata hai


is qadar kyon dil-e-ushshaq hain ghabrae hue
kis sitam-kesh pe aalam mein shabab aata hai
dekhiye girti hai kitnon ke dilon par bijli
sunte hain dhum se us but ka shabab aata hai


ye jawani hi to hai gulshan-e-hasti ka ubhaar
aur ho jati hai surat jo shabab aata hai
shokhiyon ne teri bechain kiya kuchh aisa
dekhne aalam-e-tifli ko shabab aata hai


jis tarah dhup se aa jae koi saya mein
itni si der ko insan pe shabab aata hai
parde parde mein jatata hai ye sine ka ubhaar
le ke kuchh mutthiyon mein un ka shabab aata hai


apni barbaadi ka pahle hi se matam kar len
kahti hain un ki adaen ki shabab aata hai
saikdon minnaten is din ke liye mani thin
shukr karta hun ki ab us pe shabab aata hai


rahte hain khalq mein afsane sitam ke barson
aur do din ko hasinon pe shabab aata hai
milne wala hai qayamat ka sitam ko rutba
husn us but ka badhane ko shabab aata hai


qahr ki us ke bayan ho nahin sakti haalat
us se hi puchhiye jis par ki shabab aata hai
aur ai 'bazm' kisi ka nahin kuchh bigdega
meri hi redh lagane ko shabab aata hai


24626 viewsghazalEnglish