maut ka dar hua hai mujh par baz

By salim-saleemFebruary 28, 2024
maut ka dar hua hai mujh par baz
zindagi bas ki teri 'umr daraaz
mujh ko meri bahut zarurat hai
kar raha hun main khud ko pas-andaz


dil dhadakta hai thartharaata hun
mere andar na koi soz na saz
apni mitti pe mar sajda-e-‘ishq
kho gai hai jo teri ja-e-namaz


shor khamoshiyon ka sunte hue
khub zakhmi hui meri aawaz
11862 viewsghazalEnglish