maut ka falsafa nahin hota
By shad-nimbahediJanuary 5, 2024
maut ka falsafa nahin hota
kaun hai jo fana nahin hota
lab se tum ne jo kuchh kaha hota
darmiyan fasla nahin hota
'ishq hota akela duniya mein
husn se jo mila nahin hota
tum bhi izhaar kar ke dekho to
'ishq mein qaeda nahin hota
jo rag-e-jaan mein bas gaya hai wo
dil se aksar juda nahin hota
'shad' mumkin nahin bataen kya
'ishq ka zaicha nahin hota
kaun hai jo fana nahin hota
lab se tum ne jo kuchh kaha hota
darmiyan fasla nahin hota
'ishq hota akela duniya mein
husn se jo mila nahin hota
tum bhi izhaar kar ke dekho to
'ishq mein qaeda nahin hota
jo rag-e-jaan mein bas gaya hai wo
dil se aksar juda nahin hota
'shad' mumkin nahin bataen kya
'ishq ka zaicha nahin hota
54285 viewsghazal • English